Kuch bhi poochhiye
Water purifier ka rate, service charge, AMC, filter change, ya koi problem — jo bhi poochna ho, neeche “Ask us” button dabaiye. Apni zaban chun kar poochh sakte hain.
Aksar poochhe jaane wale sawal
- Kya aapke water purifier mein bahar chhota filter hota hai?
- Haan, hamare purifier mein ek small outside filter (pre-housing filter) hota hai, jiske andar PP filter candle hoti hai.
- Aapke main filter ke andar kaun-kaun se filters hote hain?
- Hamare main filter ke andar Sediment, Carbon, RO Membrane, Mineral filter, TDS Controller, UF filter, aur UV chamber hota hai. Yeh sab main filter ke andar hi fitted rehte hain.
- First water kis filter mein jata hai?
- Sabse pehle water Sediment filter aur Carbon filter mein jata hai.
- Booster pump ka kya kaam hota hai?
- Purifier ke andar booster pump hota hai, jo water ko khinchne aur proper pressure ke saath filters tak pahunchane mein madad karta hai.
- TDS controller ka kya kaam hota hai?
- TDS controller pani ke TDS level ko balanced aur suitable level mein lane mein madad karta hai, jisse pani healthy aur taste mein better hota hai.
- UV chamber ka kya kaam hota hai?
- Purifier ke andar UV chamber hota hai jisme UV LED light hoti hai. Yeh pani ke germs aur bacteria ko kill karke pani ko safe banata hai.
- Aapke purifier ki tank capacity kitni hoti hai?
- Hamare purifier ke andar 12-litre ki storage tank hoti hai. Tank full hote hi float valve ke through machine automatically cut-off ho jaati hai.
- Mineral filter ka kya benefit hota hai?
- Mineral filter pani ke andar essential minerals add karta hai, jisse pani health ke liye achha aur taste mein better hota hai.
- Kya additional filters add ho sakte hain?
- Haan, purifier mein Copper, Carbon, Alkaline, Copper + Zinc, Bio + Alkaline jaise additional filters add kiye ja sakte hain.
- Membrane housing ka kya kaam hota hai?
- Membrane housing ke andar RO membrane hoti hai, jo pani ke 0.0001 micron tak ke chhote impurities ko filter karti hai.
- UF filter ka kya kaam hota hai?
- UF (Ultra Filtration) filter pani ko achhi tarah se chhan kar fine impurities aur bacteria ko remove karta hai.
- Kya aap installation aur drilling service bhi dete ho?
- Haan, hum complete installation, drilling, aur kitchen water supply se direct connection dete hain. Isse koi leakage ya general problem nahi hoti.
Dukaan ka pata
16-9-109, Shankar Nagar Colony, Old Malakpet, Hyderabad, Telangana 500036
Note: hamari dukaan ab Malakpet mein hai. Talabkatte wali dukaan band ho gayi hai.